Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin Naat Lyric
Haan ye baat sach hai, haqeeqat yahi hai
Nabi Aapko Maine Dekha nahi hai
Na Daure Muhammad Me Paida hua Main
Na Saathi Safar KA kabhi Ban Saka Mai
Na Aaqa ki Awaaz Tak Sun Saka Main
Na Gazwaat Me Mushriko Se Lada Main
Magar Sach Hain Ye Bhai Qasam Hai Khuda KI
Mohabbat mujhe AApse hain Nabi ji
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Na Abubakr sa main Rafeeqe Safar Hoon
Na Usman o Haider hoon Na Main Umar Hoon
Na Talha Na Hamza Saeed or S’aad Hoon
Anas Jaisa Khadim Na Khalid Asad Hoon
Na Main Ibne Aouf o Zubair o Ubaida
Na Main BuDujana Maaz o Qatadah
Na Arqam Na Akhnas, Bilal Aur Yahya
Na Misle Yasaar or Yasir NA ya’la
Main In Sab ke Qadmoon Ke Zarroon Ka Zarra
Magar Ay Nabi Aapka Hoon Main Shayda
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Na Taiba ki galiyon mein chal saka main
Na Raoze pe haazir kabhi ho saka main
Na aankhon se dekha woh noorani chehra
Na qadmon mein gir kar kabhi ro saka main
Magar dil mein basi hai tasveer unki
Har ek saans leti hai tazkeer unki
Main ummati hoon, yehi fakhr mera
Salamat rahe bas muhabbat unki
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Gunahgaar hoon par umeed hai mujhko
Shafa’at milegi yaqeen hai mujhko
Qayamat ke din jab sabhi ghabraayenge
Mere Aaqa pehchaan lenge mujhko
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Salle Ala Sayyedna, Salle Ala Muhammadin
Related Naat:





